a change is just around the corner

///--->>>rethinking art, contemporaneity and (my)self

Works and Curations

Tuesday, July 26, 2011

more than words can say?

by Rahul Bhattacharya on Saturday, 26 June 2010 at 06:26


udhti udhti ek paanchi aayi
choti si thi nanni si thi
sabh chodke..udti udti woh sirf mere ghar ko aayi

bohut khele bohut naache
phir meine toka..phir uusne toki
phir uusne toki..phir meine toka
usne toki mei ne toka
aur ek din naraz hoke woh chali gayi


mei akele khidki pe behetha
socha..aacha hua who chali gayi
ghar gaanda..haar kone pe daana
paayri thi..paar aacha hua woh chali gayi

saaf ghar aur dookh bhara dil
dheere dhrere mujhe khata gaya
khata gaya khata gaya..aur mere dil ko rulata gaya
dur kahi who paanchi dikha
jaane bina honto mei muskan aaya

udhti udhti ek paanchi aayi
choti si thi nanni si thi
udthi udthi udthi woh ghar ko aayi


botul khele bohut naache
khuub khaye khuub ghoome
london ja ke rani ko bhi dekhe
yea kare woh kare
uudh jayi phir waapas aayi

aandar se daari hui thi
phir tokunga
saapna todunga


haar ghaar pe paanchi nahi aati hai
har dil ko itna khushi nahi milta hai
nahi tokunga kaabhi uuse
choti si hai...nanni si hai
khuda ne mere paas bheja tha uuse
mere zindagi saajane ke liye
bus..itni si hi baat hai

2 comments:

  1. sahi kaha tumne
    har ghaar pe panchi nahi aati hai....
    bas itni si hi baat hai
    par kitna kuch keh jaati hai.......

    ReplyDelete